Tuesday 23 August 2011

Friendship shayri


Har karz dosti ka ada kaun karega,
jub hum hi na rahenge tho dosti kaun karega,
Aye khuda, mere dost ko salaamat rakhna,
varna mere jeene ki dua kaun karega!

Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!

Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha…


Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.

Don’t let these hopes die,
Don’t let this friendship dry,
Maybe You get better friends then Me, but
Don’t let anyone else take this friend’s position in Your heart.

Woh nadiyan nahi aansu they mere,
jinpar woh kashti chalate rahe.
Manzil mile unhein yeh chahat thi meri,
isliye hum aansu bahate rahe.

Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar.
Hasati hai dosti, rulata hai pyar.
Milati hai dosti, juda karta hai pyar.
Phir bhi dosti chodker kyo kerte hai log pyar

Ek din pyar aur dosti mile,
Pyar ne puchha agar main mahan hoon
To teri kya zaroorat hai,
Dosti ne kaha jin aankhon me tu aansu lata hai,
Unhi labon par main muskurahat lati hoon

Pyar unse kar bethe iss qadar doston,
Bechainyaan hain ab sham-o-seher doston.
Unki hi khushbu hai saanson mein abtak,
Itna dilkash chhod gaye woh asar doston.

Aj Rootha huwa ik dost bohot yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt bohot yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu bohot yaad aaya.

Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
Aj jab dard huwa mujh ko bohot yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
aaj [...]

Har baat samjhne ke liye nahi hoti
Zindagi hamesha paane ke liye nahi hoti
Yaad aksar aati h apno ki
Par har yaad jatane k liye nahi hoti.

Ek din hamare annsoon humse pooch baithe,
Humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe
karte hain tum kyon chale aate ho.

Zindgi mohtaj nahi manzilon ki,
Waqt har manzil dikha deta hai..
Marta nhi koi kisi ki judai me,
Waqt sabko jeena sikha deta hai..

Dosti ke bhi apne andaz hote hai,
Jagti aankho me khwab hote hai,
Soyi aankho me sailab hote hai,
Kyo ki dosti k rishte to nayab hote hai…
 Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.
`
Chand Gaya Suraj Nikla Ab Tak
Tum Soye Rahe Honge Jag Bhi Jao
Ab Yu Mere Dost Kab Tak
Mere Hi Khayalo Me Khoye Rahoge.

Best gift
=Z=I=N=D=A=G=I=
Best ehsaas
=K=H=U=S=H=I=
Best feeling
=P=Y=A=A=R=
Best relation
=D=O=S=T=I=
Best passion
=H=U=M=
Best friend
=T=U=M= Smi...

Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !

Raat ka chaand tumhe salaam Kare,
Pariyon ki aawaz tumhe aadaab kare,
Saari duniyaa ko khushh rakhne waala woh rabb,
Har pal tumhaari khusiyun ka khayaal kare.

Kuch log Gunah krke saza se darte hain,
Kuch zehar pee k dawa se darte hain,
dushmano k sitam ka khauff nahi,
Hum to doston k khafa hone se darte hain."

Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko
Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
to tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.

Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.

Sadaa khushh rakhnaa mere khudaa usko,
Tere farishtay bhi de dua usko,
De usko uski chaahat se zyaada,
Maange qataraa to mile dariyaa usko

Ankhen to Dosti me Dil ki zuban hoti hai,
Sachhi Dosti to sada bezubaan hoti hai,
Dosti me judai bhi aae to kya ghabrana…..
suna hai judai se Dosti aur bhi jawan hoti hai…..!

 is dil ka hai ek condition,
Jis main nahi kisi ko permission,
Sirf aap jese dost ko hai admission,
Wo bhi bina donation,
So just maintain good relation.

Phool bankar muskurana zindgi hai,
muskurake gum bhulana zindgi hai,
milkar log khush hote hai to kya hua…
bina mile Dosti nibhana bhi zindagi hai

Kisika Hath Thamo to chhodna Nahi,
Waada kisise karo to todna Nahi,
Koi Bhale hi tode Dil Tumhara,
Agar Tum ho sachche to uska Saath chhodna Nahi..

Yado Se Dil Bharta Nahi,
Dil Se Yade Nikalti Nahi,
Ye Kaisi Majburi Hai Dost,
Ke Aapko Pareshan Kare Bina Chen Padta Nahi

Inn umeedo ko tootne mat denaa,
Iss dosteeko kabhi kam hone mat denaa,
Shaayad dost milengay humse ache,
Par aapke dil me iss dost ki jagahh kiseeko lene mat denaa.

Yaadon Ke Sahare Duniya Nahi Chalti,
Bina Kisi Shayar Ke Mehfil Nahi Banti,
Ek Baar Pukaaro To Aye Doston,
Kyon Ki Doston Ke Bina Ye Dhadkne Nahi Chalti

Meri dosti dil me bajaye rakhana
Ek chota sa arman dil me jagaye rekhna
Waqt ko koi bandh nhi sakta par
Ish dosti ko palko me sajay rakhna

Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.

Wo Yaad Nahi Karte Hum Bhula Nahi Sakte
Wo Hasa Nahi Sakte Hum Rula Nahi Sakte
Dosti Itni Khoobsurat Hai Hamari
Wo Jata Nahi Sakte Aur Hum Bata Nahi Sakte

Ajeeb Dastaan Hoti Hai Doston Ki,
Ladna Milnay Se Bhi Acha Lagta Hai,
Lad Ke Mananay Wale Bhi Hote Hain Kuch,
To Kuch Ko Charana Acha Lagta Hai,

Vo mulakat kuch adhuri si lagi,
Pas ho kar b duri si lagi,
Hotho pe hasi aankho me nami,
Pehli bar kisi ki dosti itni zaruri si lagi.
Geet ki zaroorat mehfil mein hoti hai
Pyar ki zaroorat dil mein hoti hai
Bin dosti ke adhuri hai yeh zindagi
Kyunki dost ki zaroorat har pal mehsus hoti hai

Dost hai to Aansuo ki bhi shaan hoti hai,
Dost na ho to Mahfhil bhi Kabristaan hoti hai,
Sara khel to dosti ka hi hai,
Warna mayyat aur barat ek saman hoti hai

Do pal ki zindgi, yu hi beet jayegi.
Kali raat k baad nayi Subah ayegi.
Agar Doston ki yaad satayegi to kasam se
aapki yaad sabse pehle aayegi…..!

Door rahke bhi Jo dil Ke sadaa paas hota hai,
Dost ho hai jise dosti ka ehsaas hota hai,
Dost di dosto ke dil ka saaz hota hai,
Dost wo hai jo hamdard or hamraaz hota hai

Baithe he tanha kisiki aas me,
Kuch nhi yado k alva pas me,
Sochte he kya hua jo koi nhi karib hmare…
Registan bhi to jita he barsaat ki aas me..

Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !


Saato aasmano ki sair hum kar aaye,
har ek tare se dosti kar aaye,
ek tara khas tha jise hum saath le aaye,
varna aap hi sochiye,
aap is jamin pe kaise aaye

Dosti karo toh dhoka mat dena
Dosto ko aanduon ka tohfa mat dena
Dil  se roye koi tumhe yaad karke
Aisa kisi ko mauka mat dena.

Wo yaad nahi karte hum bhula nahi sakte
Wo hasa nahi sakte hum rula nahi sakte
Dosti itni khoobsurat hai hamari
Wo jata nahi sakte aur hum bata nahi sakte

Taaro ko ginne wale hum na the,
Akele gungunane wale hum na the,
Ye to aapki dosti ne aadat laga di,
Warna kisi ko itna yaad karne wale hum na the..!

Dosti ke bhi apne andaz hote hai,
Jagti aankho me khwab hote hai,
Soyi aankho me sailab hote hai,
Kyo ki dosti k rishte to nayab hote hai…….

Har koi pyar ke liye tarpata hai
Har pyar ke liye rota hai
Mere pyar ko galat mat samjhna
Pyar to dosti mai bhi hota hai

Zindagi ke daur mein hawaon se taluk rakhna,
dosti ke daur mein doston ko yaad rakhna,
humari dosti ke sms aate rahege,,
tum bus apna mobile ON rakhna.

Pyari subah teri,shaam meri ho
Din tera,raat meri ho
Hasi teri,udasi meri ho
Jab maut aaye to yaar sirf ...
Kabar teri aur usme lash meri ho.

Do pal ki zindgi, yu hi beet jayegi.
Kali raat k baad nayi Subah ayegi.
Agar Doston ki yaad satayegi to kasam se
Aapki yaad sabse pehle aayegi…..!

Bichadne wale ko yaad mein kya doge,
Sote huye ko khwab mein kya doge,
Hum chahte hain umar bhar ki friendship
Ka vaada, mere is sawal ka jawab kya doge.
 Hasta huya dekh kar log kehte hain ke
Hum gam se khali hain, par unhe kya
Pata ke jo gam ke baag hain,
Hum us baag ke mali hain..

Khaali haat aap aaye the huzoor
Khaali haat aap jaayenge zaroor
Hamein sms na kar ke
Kitne chillar bachayenge huzoor

Dosti najaron se ho to kudrat kehte hai,
Sitaron se ho to jannat kehte hai,
Husn se ho to mohbbat kehte hai,
Aur hamse ho to use kismat kehte hain

Kabhi dost kehte hokabhi dua dete ho
kabhi bewaqt neend se jaga dete ho
par jab bhi sms karte ho khuda
kasam..saare gham bhula dete ho

Anjani si mulaqat se pehchan ban gayi,
ek methe se rishte ki jaan ban gayi,
2 kadam aap chale aur 2 qadam hum,
bus dosti ki raah asaan ban gayi.

Her waqt tujhe meri yaad satayegi


Dukh ke waqt me meri dosti hi yaad ayegi,
Tab jaonge humari dosti ka kadr,
Jab hamri jindgi se saanse chali jayegi.

Kaash banaane wala mujhe aansu banaya hota
Aur usko mehboob ki aankho me basaya hota
Girtun hi ki aankho seunhi ke god me to
marne ka mazza hi kuch aur hota.

Hawaeo ke bina fiza me surur nahi hota,
Chandni ko chand ke bine gurur nahi hota,
Aap jaisa dost na ho to dil bhi sms kerne ko majbur na hota.

Tum aye jindgi me ek hassen ehassas banker,
Aur dil me bas gaye dhadkano me bus gaye har saans banker,
Tum hi goonjte ho meri geeto me awaj banker,
Tum baste ho meri nazaro mr alfaz banker.

Dil ne jo chaha aaj tak na paya,
Juthi muskan se humne gum ko chupaya
Vaise to her insaan takdir ko aajmata hai ,
Hum jise humesa takdir ne aajmaya

Tujhe dekhe bina teri tasveer bana skta hu,
Tujhse mile bina tera haal bta skta hu,
Hai meri dosti me itna dum ki ,
Teri ankho ka aansu apne aaknho me gira sakta hu,

1 comments:

Post a Comment