Monday 22 August 2011

Love Shayri


Nadaani mein hum kisse apna samajh baethe,
Jo dikhaaya uss Bewafa ne Sapna, hum haqeeqat samajh baethe
Dekho aaj chod diya hamein, Usne ek Gair ke liye,
Jisse hum apna Humsafar samajh baethe

Aap sei bichar ke maine ansoo bahai
Merey ansoo samunder main ghirey
Agar aap ko woh aansoo mil jaye to
Kasam se hum aapko yaad karna chod dengey.

Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega.

Aapse mil ke hum kuch badal se gaye,
Sher padne lage gungunaane lage,
Pehle mashhor thi apni sanjidgi,
Ab to jub dekhiye muskurane lage….


Tham lena mera hath,
kabhi piche jo chhut jau.
Mana lena mujhe jo tumse kabi ruth jau,
Mana mai nasamjh hu,
par wo tara hu jo aapki har arzu k liye tut jau

Jane kis baat ki mujhko saza deta hai,
meri hasti hui ankhon ko rula deta hai.
Ek muddat se khabar bhi nahi teri,
koi is tarah bhi kya apne Pyar ko bhula deta hai.

Log kehte hai tum kyun apne pyar ka izhar nahi karte.
Humne kaha jo labzo me bayan ho jaye...
sirf utna ham kisi se pyar nahi karte.

Ek candle ko jalane ke liye machis khud ko jala deti hai
aur usi machis ki yaad me candle bhi pura jal jata hai
this is the example of true love

Hum tere sath chalenge tu chale na chale,
tera har dard sahenge tu kahe ya na kahe,
hum chahte hai ki tum sada khush raho,
hum chahe rahe ya na rahe..

Khwaabo ki dunya kyun
Humko sata rahi hai
Yaadon ki dastak kyun
Humko bula rahai hai
Tanhayian kyun itani
Kareeb aa gayi hain
Shayad Hum Dor Jaa rahe hain

Kisiki dil mein teri yaadein abbhi zinda hai
Tute to nehi padhTere gam mein
kisiki ankhe abbhi nam haiDhundhte hai hum
tume in sitaro meinIs nachis ko tere
bagayr jine ki aadat nehi hai.

Phool aap ke liye Kante Hamare liye
Sarak aap ke liye Gadde hamare liye
Shahad aap ke liye Karela hamre liye
Hum aap ke liye Aap humare liye

Khyalo Se Chhoo Lo To Chala Aayu Main
Dil Se Pukaro To Chala Aayu Main Maine
Apni Jaan Se Jyada Chaha Hai Tujhe
Tu Hi Khafa Ho Jaye To Bata Kahan Jayu Main..

Tu dur hai mujse or paas b hai,
Teri kami ka kahin ehsas b hai.
Dost lakhon hai jahan mein mere,
Par tu pyaara bhi hai aur khaas bhi hai.


Dete hai kyu wo dard bas hami ko?
kya samjhenge wo in aankho ki nami ko?
lakho diwane ho jis chand ke
kya wo mehsus karega ek tare ki kami ko??

Log kahte hai hatho ki lakire aadhuri ho to
kismat me mohabbat nahi hoti
par sach to ye hai ki hatho me ho kisi ka hath
ho to lakiron ki bhi zarurat nahi hoti

maaf karna is nadan ko jo n ho paya tumhara
pyar tha jo mera us pyar ko mai samajh n paya

Kufr bakte hain woh jo kehte hai,
Izhaar-E-Mohabbat ko do labj hi kaafi hai,
Kisi Kafir se suna tha shayad,
Nazre bhi kaha karti hain!
By Abhishek Bundela

Sookh Jaate Hain Lub, Lufz Milte Nahi
Hota Nahi Humse Ishq Bayaan
Unhe Kaise Bataoon Dil Ki Lagi
Kaise Sikhaoon Aankhon Ki Zubaan!



Har khamoshi ka matlab inkaar nahi hota,
Har nakamyabi ka matlab haar nahi hota.
Toh kya huwa agar hum tume na pasake,
Sirf paane ka matlab pyar nahi hota.

Zamana dost ho jaey to bohat mohtat ho jana,
Kisi k rang badalney main zara si dair lagti hay,
Koi jo khawb dekho to ussey foran bhulla dena,
Ke neenden toot janey main zara si dair lagti hay,

Kisi ko dukh kabhi dena to itna soch kar dena,
Kisi ki aah lagney main zara si der lagti hay,
Bohat hi mo’tabar hain jin ko muhabbat raas aa jaey,
Kisi ko raah badlney main, zara si der lagti hay.

Dosti karna hamain bhi sikhado zara,
Us dil k konay mein hum ko bhi bithado zara,
Hum tumharay dil mein hain k nahi,
Zuban say na sahi sms se to batado zara.

Tu Phul Hai Baharon Ki,
Tu Chand Hai Nazaron Ki,
Teri Kya Tareef Karoon,
Tu To Mahek Hai Mere Armaano Ki.

Jab tanhai me aapki yaad aati hai,
Hontho pe ek hi fariyad aati hai…
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamari har khushi aapke baad aati hai.

Usko paa kar kibhi tu khona tha,
Ye hadsa kabhi tu hona tha,
Wo tor kar aksar mujhe Chorti rahi,
Jese mai uss ke haat ka kio khilona tha…

Azmaish pyar mein zaruri hoti hai,
Na mil pana kisi ki Majburi hoti hai,
Yaad dur se toh App kar sakte hai,
Lekin dil ki hasrat milne se puri hoti hai.

daulat hai mujhko zindagi se pyari.
daulat k liye kar du kurban yari .
daulat k liye tod du dosti saari.
ab aapse kya chupana "aap" hi to daulat hamari.

Ye mousam v kitna pyara hai,
karti ye hawayen kuch ishaara hai.
Zara samjho inki jazbaton ko,
kisi chahne wale ne dil se tumhe pukara hai.

aap ki yado ke sahare ji lete hai.
aap se milne ki khavahish liya ji lete hai.
jine ko to ji sakte hai aap ke bager par
miljay agar aap to mar bhi sakte hai.

Lehro se milkar na woh beh sake na hum,
ek duje ke Dil me na woh reh sake na hum,
jeet lete aasma ek din lekin, palkon ki khamoshi ko,
hothon se na woh keh sake na hum…

Is dil ka kaha maano ek kaam kar do,
Ek be-naam si mohabbat mere naam kar do,
Mere pe faqat itna ehsan kar do,
Kisi din subha ko milo aur shaam kar do.

Hum is qadar tum per mar-mitain-ge,
Tum jahan dakhoge hum hi tumhain dikhenge,
Rakhna her pal is dil main hamari yaad,
Hamaray bad hamari pyar ki dastan dunia walay likhain gay,

mushkil is duniya me kuch bhi nahi
fir bhi log apne irade tod dete hai
agar sach dilse ho rishte to sitare bhi
apni jageh unke liya chod dete hai.

Khata ho gayi hai to saja suna do,
Dil me itna dard kyo vajah bata do,
Der ho gayi hai yaad kerne mai jarur lekiin,
Tumko bhula denge ye khyal dil se mita do.


Jab bhi dekhye hai us chand koUsme
shirf tumhi nazar aate ho humeKardo
meri zindegi ko roshan aapni chandni se
Ab to tere kirno me bhigne ki tamanna hai hume.

Chupa Saktay Hain Aur Naa Hum
Dekha Saktay Hain Logoo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per
Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Saktay

Aap se mulaqaat hone ke baad,
Jaane kyun aapke ke baare main hi sochne laga hoon.
Zindagi ke safar main akele chalte chalte achanak,
Aapke saath chalne ki khuwahish karne laga hoon

Is Behte Dard Ko Mat Roko Ye To Saza Hai
Kisi Ke Intezaar Ki Log Inhe Aansu Kahe
Ya Deewangi Par Ye To Nishani Hain Kisi Ke Pyar Ki..

Log kahte hai kii jis se hum ne dosti ki hai
woh chand ka ek tukda hai
hum kehte hai ki jis se hum ne dosti ki hai
chand uus ka ek tukda hai

Har dharkan mein ek raaz hota hai,
Baat ko batane ka ek andaaz hota hai,
Jab tak thokar na lage bewafai ki,
Har kisi ko apnay pyaar per naaz hota hai.

Tere Bina hum jeena bhool jaate hain…
Zakhmon ko seena bhool jate hain..
Tu zindagi main sabse azeez hai humain..
Tujhse har bar yeh kehna bhool jaate hain.

Mohabbat me sath to harpal hota he ,
Koi dikhane se hota hai to koi dil se hota hai,
Mazs to sath tab aye yaro,
Jab judai ka lamha mahsus hota hai.

Panchi keh rahey hain k hum chaman chor denge,
Sitare keh rahey hain ki hum gagan chor denge,
Agar tere ishq me main mar bhi jaun aye sanam,
Tum dilse pukar lena hum kafan chor denge

Kuch rishtay anjanay mein hi ho jatay hain,
Pehle dil phir zindagi say jur jatay hain,
Kehtay hain us daur ko pyaar,
Jisme log zindagi say bhi pyare ho jatay hain

Sahil per khare khare humne shaam kardi,
Apna dil or duniya aap k naam kar di,
Ye bhi na socha kaise guzregi zindagi,
Bina soche samjhe her khushi aap k nam kar di

har subah ki dhundh kuch yaad dilati hai,
har phool ki khushboo ek jaadu jagati hai,
chahun na chahun kitna bhi,
par aapki yaad roz aa hi jati hai.

Jab bhi tere bina raat hoti hai
Deewaro se aksar baat hoti hai
Sanata poochta hai sawal humse
Tere naam se hi shuruwaat hoti hai

Aapko dekha to yakeen hota hai
Keh koi itna bhi haseen hota hai
Dekh hi pate hain kahan aapko
Dil kahin to hosh kahin hota hai

Ek kasak dil mein dabi reh gayi,
Zindagi mein unki kami reh gayi,
Itni ulfat k baad b vo mujhe na mile..
Shayad meri mohabbat mein hi kuch kami reh gayi..

Logo Se Najren Churane Laga Hun,
Khud Se Khud Ko Chupane Laga Hun..! 
Veerane Me Waqt Gujarta Hai Apna,
Tanha-Tanha Sa Rehne Laga Hun…! 

Nahi Kehta Kisi Se Dil Ka Haal Apna,
Khud Hi Apni Dastan Gungunane Laga Hun..!
Aankhon Me Basi Hai Ik Tasveer Uski,
Khud Hi Use Ab Mitane Laga
Zindgi ka koi ehsas itna pyara na hota
Agar apki yaado ka sahara na hota
Hum khud ko khushnasib kahe nahi pate
Agar aap sa dost hamara na hota.

Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar ankhein hamari kahan se layega.

AANA Hichkion ka ye batata hay,
Koi humain yaad kar k Khud ko rulata hay,
Magar dil nahi ye to samajhta Such hay,
Shiddat hamain se bhi koi yaad aata hai ..

In Faaslon ki main Fikar Kyon Bhala Karon?
Bohat Door PaaS they dominated for k bhi hai koi,
Dooba is soch main hai mera dil bohat dair se.
Kia Uske Dil Aisa Ehsaas hai main bhi koi?

agar yaad karne se use pta chal jayega
ki hum use yaad krte hai, to kasm se
puri jindagi use yaad karne mein nikal denge....

Kisi ke dil mein basna bura to nahi
Kisi ko dil mein basana khata to nahi
Hain ye zamane ki nazar me bura to kiay hua
Zamane wale bhi insan hai khuda to nahi.

Faasly To Pyaar Ki Pehchan Hua Karte Hain
Na Jaany Q Log Pareshan Hua Karte Hain
Ye Haqeqat Hai K Jahan Toot K Chaha Jaaye
Wahan Bicharney K Imkaan Hua Karte Hain

Muhabbat Bhi Toofaan Utha Deti Hai Dil Mein
Phir Raasty Sunsaan Hua Karte Hain
Dil Bhi To Aik Ghar Hai Jo Kabhi Basta Hai
Ujray Tou Phr Jaise Khaali Makaan Hua Karte Hain

Is raah mein bahut saathi mil jayenge
Waqt ke saath shayd who bhi choot jayenge
Bas karma ik khayal
Kisis khoobsurat saathi pe
Yeh dil na kurbaan kar dena
Ishq to raah hai,
Ae Musafir
Ise manzil na samajh lena

Bhichary Kabhi Bhi Lout K Nahi Aatay Mohsin
Bas Faqat Yaadon K Kuch Nishaan Hua Karte Hain.
Meri Zindagi Mein Fakaqt Do Hi Kaam Na Mumkin Rahe,,,,
Usey Paa Lene Ki Tamanna Ya Usey Bhool Jaane Ki Khuwasih.

Kisi Shayar Ne Kaha Zindagi Ek Lamba Safar Hai,
Kisi Aashiq Ne Kaha Zindagi Ek Mushkil Paheli Hai,
Arre Dosto Zindagi Ka Arth Toh Sirf Voh Bata Sakta Hai,
Jiski Shaadi Ke Baad Bhi Koi Saheli Hai!!!

kissi ke dil me basna bura to nahi…
kissi ko dil me basaana khata to nahi…
gunaah hai ye zamaane ki nazar me to kya hua…?
zamaane waale bhi insaan hain… KHUDA to nahi.

Khushiyon ka ek sansaar leke ayenge,
patjhar mei bhi bahar leke ayenge,
jab bhi pukaroge pyar se hame,
maut se bhi saansen udhar leke ayenge…!

aisa nahi ki aapki yaad aati nahi,
khata sirf itni hai ki hum batate nahi,
Dosti aapki ANMOL hai humare liye,
samajhte ho aap isliye hum jatate nahi..

Aandhiyon Me Bhi Jaise Kuch Chirag Jala Kartey Hai
Utni Hi Himmat E Hausla Hum Bhi Rakha Kartey Hai
Manzilon Abhi Aur Dur Hai Hamari Manzil
Chaand Sitarey To Raahon Me Mila Kartey Hai

Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

Saray raah jo unsay nazar mili…
To Naksh dil kay ubhar gaye…
Hum nazar mila kar jhijag gaye…
Vo Nazar jhuka kar chale gaye…

Hum Se Door Jaoge Kaise Dil Se Hume Bhulaoge Kaise,
 Hum Woh Khusboo Hai Jo Saanson Mein Baste Hain,
 Khud Ki Saanson Ko Rook Paoge Kaise

Khyalo Se Chhoo Lo To Chala Aayu Main
Dil SePukaro To Chala Aayu Main
Maine Apni Jaan SeJyada Chaha Hai Tujhe Tu
Hi Khafa Ho Jaye To Bata Kahan Jayu Main..

Humare Ansu Poch Kar Wo Muskurate Hain
Aysi Ada Se Wo Dil Ko Churate Hain
Hath Unka Chu Jaye Humare Chehre Ko
Isi Umeed M Hum khud ko Rulate Hain.

Hum to tujhe chahte hai har pal
Tu bhi apne hone ka kuch haq jata de
kuch aur nhi to kar itna karam
jahan tu yaad na aye bas wo jagah bata de..

Jhuki huyi najro se izhaar karr gaya koi
Hume khud se begana karr gaya koi
Youn to honto se kahaan nehi kuchbhi
Padh aankhon se lafz bayan karr gaya koi.

Dost ki Kami Mehsoos Hoti hai
Ek haseen suhane pal ki kami mehsoos hoti hai
jab tu sath ho har khushi mehsoos hoti hai
meri thami hui saans bi Puri hoti hai
`
Dil k kareeb aa k jab wo door ho gaye,
sary haseen khawb mere choor ho gaye,
humne wafa nibhai to badnaamiyan mili,
Jo log bewafa the wo mashoor ho gaye.       

Beetay pal wapas la nahi sakte
Sukhe phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai k aap hamein bhula nai sakte.

Suna Hai Un K Ashkon Se Bujhti Hai Pyas Sehra Ki
Jo Kehtay Thay K Pathar Hain Humain Rona Nahi Aata .

Ruth jao tum mana lenge hum,
Dur jao kitna bhi paas bula lenge hum,
Dil aakhir dil hai koi samandar ki ret nahi,
Ke likh kar naam APKA mita denge hum.

Usko paa kar kibhi tu khona tha,
Ye hadsa kabhi tu hona tha,
Wo tor kar aksar mujhe Chorti rahi,
Jese mai uss ke haat ka kio khilona tha…

Mast nazaron se kyon dekha,
gar tamanna thi aazmaane ki
hum to yoon hi ghayal they,
kya zaroorat thi muskurane ki

Meri Zindgi Ko Ek Tamasha Bana Dia Us Ne,
Bhari Mehfil Mein Tanha Bitha Dia Us Ne..!
Aysi Kya Thi Nafrat Us Ko Es Masoom Dil Se,
Khushiyan Chura Kar Gham Thama Dia Us Ne..! 
Bohat Naz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi Hum Ko,
Mujh Ko He Meri Nazron Mein Gira Dia Us Ne

Pyar ki kitab k kuch panne hote hain,
Kuch apne, Kuch begane hote hain,
Pyar se sanwar jati hai zindagi,
Bas Pyar se rishte nibhane hote hain.

Aankho ke liye roshni jaroori hai,
 Pyar ke liye dosti jaroori hai,
 Hum to aap ko kabhi yaad nahi karte,
 Kyoon ki……
 Yaad karne ke liye bhoolna jaroori hai




. 

0 comments:

Post a Comment