Wednesday 24 August 2011

Jindgi Shayri

Jindagi kisi ki amanat nahi hoti
Amanat Main Kabhi Kayamat Nahi Hoti,
Dil Ko Sambhal Kar Rakhna,
Meri Dosti Ki Kaid Main Jamanat Nahi Hoti

Zindagi ek abhilasha hai,
kya gazab iski paribhasha hai
zindagi kya hai mat pucho ae dosto
sawar gayi to dulhan aur bikhar gayi to tamasha hai..

Har Nami Main Kuch Kami To Rahegi
Ankhen Thori Shabnami To Rahegi
Zndagi Ko Aap Kitna Bhi Sawariye
Bin Hamare Koi Na Koi Kami To Rahegi

Zindagi Chahiye Mohabbat Main
Ye Ghari Doo Ghari Ki Baat Nahi
Aap Say Koi Bhi Nahi Pehlay…
Aap K Baad Koi Zaat Nahi

Dil Mai Intezar Ki Lakeer Chor Jaengay
Ankhon Mai Yadon Ki Nami Chor Jaingey
Dhondte Phiro Gay Hamain 1 Din
Zindagi Mai Eik Aisi Kami Chor Jayengay

Sanson Ka Pinjara Kisi Din Toot Jayega
Phir Musafir Kisi Rah Mein Choot Jayega!
Abhi Sath Hai To Bat Kar Lia Karo
Kia Pata Kub Zindagi Ka Sath Choot Jayega

Mahak Dosti Ki Ishq Se Kum Nahi Hoti
Ishq Se Zindgi Khatam Nahi Hoti
Sath Agar Ho Zindgi Main Doston Ka
To Zindgi Jannat Se Kum Nahi Hoti

Dilon Se Khelne Ka Hunar Hamein Nahi Aata
Isliye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi Se Shayad Unhe Bohot Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye.

Zindagi Me Kabhi Pyar Mat Karna
Ho Jaye To Inkar Mat Karna
Nibha Sako To Isme Kadam Rakhna
Varna Kisi Ki Zindgi Barbad Mat Karnaa


Zindage Har Pal Khas Nahi Hoti
Phuloon K Khusbu Hamesha Pass Nahi Hoti
Milna Hamare Taqdeer Me Likha Tha
Warna Itni Payari Dosti Hamare Itefaq Nahi Hoti

Sahil Per Khare Khare Humne Shaam Kar Di,
Apna Dil Or Duniya Aap K Naam Kar D
Ye Bhi Na Socha Kaise Guzregi Zindagi
Bina Soche Samjhe Her Khushi Aap K Nam Kar Di

Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara

yu dur rehker duriyo ko badhaya nhi kerte,
apnea deewano ko sataya nhi krete,
her waqt jise khatal ho tumahara,
usea apni aawaz ke liye tadpaya nhi kerte.

Na Chand Ki Tarah,Na suraj Ki Tarah,
Na Aasma Ki Tarah,Na sitaro Ki Tarah,
Koi Dost Mujhe Mile To Bus Aap Ki Tarah !

Dil ke jo karib hai use sataya nahi jata
Chahat bhari nazaro ko rulaaya nahi jata
Mana hume behad pyaar hai Aapse
Par kisi aur ke liye apno ko bhulaya nhi jata

Jindagi Kisi Ki Amanat Nahi Hoti,
Amanat Main Kabhi Kayamat Nahi Hoti,
Dil Ko Sambhal Kar Rakhna,
Meri Dosti Ki Kaid Main Jamanat Nahi Hoti

Zindagi ne bahut ajab khel dikhaya
Ek pal hasaya to ek pal rulaaya
Zindagi to bahut jee liya lekin
Chaah kar bhi isko samajh na paya

Kabhi Aapki Yaadein Dard Ban Jai Hain
Kabhi Aapki Yaadein Dawa Ban Jati Hain
Agar Zindagi Mein Aapki Yaadein Na Hoti
To Na Jane Ye Zindagi Kya Ban Jati

Zindgi Se Pucho Ye Kya Chahti Hai
Bas Ek Dil Se Wafa Chahti Hai
Kitni Masoom Aur Nadaan Hai Zindagi
Khud Toh Bewafa Hai, Aur Dusro Se Wafa Chahti Hai

Tere Hone Se Ek Khushi Judi Hai
Teri Aankhon Se Ek Roshni Judi Hai
Apne Hotho Ki Hansi Kam Na Hone Dena
Kyun Ki Teri Hansi Se Meri Zindagi Judi Hai…

Meri Zindagi Ek Band Kitaab Si Hai
Jisne Khola Usne Padha Nahi
Jisne Padha Wo Samjha Nahi
Jo Samjha Aaj Wo Mere Paas Nahi

Jinhe Dil Se Chaha Jinhe Dil Se Pooja
Nazar Aa Rahe Hain Wo Hi Ajnabi Se
Rivayat Hai Shayad Ye Sadiyon Purani
Shikayat Nahi Hai Koi Zindagi Se

Mere Dil Mein Teri Dhadkan Aaj Bhi Hai
Meri Nazar Mein Tera Deedar Aaj Bhi Hai
Agar Zindagi Ek Shikayat Ho To Yaad Karna
Meri Zindagi Mein Teri Kami Aaj Bhi Hai

Adhure Milan Ki Aas Hai Zindagi
Sukh Dukh Ta Ehsas Hai Zindagi
Fursat Mile Toh Khwabon Mein Aaya Karo
Aapke Bina Badi Udas Hai Zindagi

Chehre Ki Hassi Se Har Gam Ko Mita Do
Bahut Kam Bolo Par Sab Kuch Bata Do
Khud Na Rootho Par Sab Ko Mana Lo
Yahi Raj Hai Zindagi Ka Khud Jiyo Aur Jina Sikha Do

Os Ki Boonde Hain Ya Aankho Mein Nami Hai
Na Upar Aasmaan Hai Na Niche Zameen Hai
Jaane Ye Kaisa Mod Hai Zindagi Ka
Apki Zarurat Hai, Aur Apki Hi Kami Hai

Tum Na Mano Par Ye Haqikat Hai
Friendship Insaan Ki Zarurat Hai
Kisi Din Aao Hamari Mehfil Mein
Jaan Jaoge Zindagi Kitni Khubsurat Hai…

Dhire Dhire Meri Kabr Pe Aa Raha Hai Koi
Mitti Meri Kabr Se Hata Raha Hai Koi
KHUDA, Pal Do Pal Ki Zindagi Aur De De
Meri Kabr Se Naraj Ho Kar Ja Raha Hai Koi

Zindagi Kya Kya Rang Dikhati Hai
Kabhi Hasati Hai To Kabhi Rulati Hai
Is Zindagi Ka Bharosa Mat Karna
Kuch Deti Hai Lekin Bahot Kuch Chheen Bhi Leti Hai

Tanhayi Ki Ye Kuch Aisi Ajab Raat Hai,
Tujhse Judi Huyi Har Yaad Mere Saath Hai,
Kis Kadar Ki Thi Mohabat Humne Tumse,
Soch Kar Huyi Aaj Ashqo Se Mulaqat Hai !!

Hath Chhute To Rshte Nahi Chhuta Karte,
Waqt Ke Dahliz Se Lamhe Nahi Tuta Karte,
Milte Hai Kuch Log Aise Zindagi Me,
Jin Se Kabhi Naate Nahi Tuta Karte !!


Aise lamhye zindagi main,
Aate hain kabhi kabhi..!
Chairti hay dil ko ek khalish kuch istara,
K Jaise ho gai ho zindagi judaa !!

Kis Dil Se Teri Dilkashi Ki Tarif Mangu,
Is Mohabat Se Teri Judai Ka Dard Mangu,
Mujhe To Dard Hai Tujse Dur Rahne Ka,
Kis Khuda Se Tujhse Milne Ki Dua Mangu !!

Uski Dosti Me Ye Naubat Aa Gai,
Thandi Hawa Bhi Hume Jala Gai,
Hawa Kehti Hai Tum Yaha Taraste Hi Reh Gaye,
Mein Tumhare Dost Ko Chhoo Kar Bhi Aa Gai!!

Har koi apne dukho me hai,
Mila nahi jo sukho me hai,
Zindagi har pal ek nai musibat layi hai,
shayad insaan ne, duniya me aane ki yehi keemat chukayi hai!

Kyu Mere Liye Koi Intzar Karega,
Apni Zindgi Mere Liye Bekrar Karega.
Me Kya Hu Meri Hasti Hi Kya Hai,
Kya Dekhkar Humse Koi Pyar Karega

Khuda Ke Pass Ek Wada Kar Aaye,
Jaldi Marne Ka Faisla Kar Aaye,
Meri Pheli Aur Akhiri Mohabbat Aap Hi Ho..
Jaan”Jannat Mein Saath Rehne Ka Wada Kar Aaye  

Dil pe Bhari har gum ho jaata hai,
Mera dushman har shakas Ho jaata hai,
Main karta aaya sab se wafaa har kadam pe,
Har shakas waffa karva ke bewafa ho Jaata hai  
 
Agar Zindagi Mein Judai Na Hoti
To Kabhi Kisi Ki Yad Aii Na Hoti
Sath Hi Guzarta Har Lamha To
Shayed Rishto Mein Ye Gehrai Na Hoti..

meri  zindagi, ek mazak ban kar rah gayi,
ruh mar gayi, bas lash baki rah gayi,
jaate jaate wo, kuch aise lafaz kah gayi,
aane ki jo ek aas thi baki,aansu ban ke bah gayi!!

Kal Na Hum Honge Na Koi Gila Hoga
Sirf Simti Hui Yaadon Ka Silsila Hoga
Jo Lamhe Hain Paas Chalo Hanskar Bita Le
Jaane Kal Zindagi Ka Kya Faisla Hoga…

Aankh Me Nasha Diya Karte Hai Hum,
Sabki Nende Chura Liya Karte Hai Hum,
Ab Se Jab-Jab Palke Jhapke,
Samajh Lena Tab-Tab Yaad Kiya Karte Hai Hum

Mana Zindagi Ek Kawab Hai,
Par Har Kawab Ko Manzil Nahi Milti,
Tut Kar Wo Rishte Bhikar Jate Hain,
Jin Rishto Ko Aapni Manzil Nahi Milti 

lamha Lamha Jodkar Zindgi Banai,
Zindgi Me Aapki Do$Ti Ki Mehak Aai..!
Dosti Ke Naam Kar Diye Kuch Lamhe Aaj,
Bas Ushi Kuch Lamho Ki Yaad Aayi

Humne Zindgi Se Pucha Sabko
Itna Dard Q deti ho…
Zindgi Ne Hans ke Kaha…
ki Hum to Sabko khushi dete hai
par Ek ki khushi Dusre ka Dard Ban jati ha 

Hum teri zindagi se naraz hai aa khuda,
jab taqleef hui ,dil toota yaad aaya khuda,
hum kya sirf dusaro ke liye aaye hai teri duniya me…
Kya teri is duniya me,hamare liye kuch nahi aee khuda!!!

hum bewafa se rishta bana baithe,
teri sadgi se dhoka kha baithe,
pathro se tha rishta tera,
jante huye sishe ka ghar bana baithe.

jaan ker bhi wo mujhe jaan na paye,
aaj tak wo mujhe pehchaan na paye,
khud he ker li bewafai hum ne,
taki unper koi ilzaam na aaye.

Nadi Jab Kinaara Chhod Deti Hain
Raah Ki Chattaan Tak Todd Deti Hain
Baat Chhoti Si Agar Choobh Jaate Hai Dil Mein
Zindagi Ke Raaston Ko Modd Deti Hain!!!

Aakhe bhi roti hai,dil bhi rota hai,
Me saari saari raat jagta hoo,jab jamana sota hai,
bus yehi sochta rahta ho,aakhir kya bhool hui mujse,
Jiss jiss ko chaha wo he humse door hota hai

Pyar Kar K Kisi Ko Dhoka Nai Dena
Doston Ko Aansuon Ka Tofa Nai Dena
Koi Roye Aap Ko Yaad Kar K
Zindagi Mai Kabhi Esa Mouka Nai Dena

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai
Her Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai
Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi…

Mehak Dosti Ki Ishq Say Kam Nahi Hoti
Ishq Pe Zindagi Khatam Nahi Hoti
Sath Agar Ho Zindagi Mein Doston Ka
Too Zindagi Jannat Say Kam Nahin Hoti

Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge
Aitbaar Zara Soch Samaj Kar Karna
Zaroori Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge

Khushi Ko Dhundhne Se Gam Milte Hain
Yeh Gam Zindagi Main Hardam Milte Hain
Jo Dil Ke Saare Dard Baat Le
Aise Log Zindagi Main Kam Milte Hain


Shaam Say Pahlay Teri Shaam Na Honay Doon Ga
Zindagi Main Tujhay Na Kaam Na Honay Doon Ga
Lagnay Doon Ga Na Hawa Tujh Ko Khizaoon Ki Kabhi
Phool Jaisa Tera Anjaam Na Honay Doon Ga

Pani Se Tasvir Kaha Banti He
Khwabo Se Takdir Kaha Banti He
Kisi Ko Chaho To Sacche Dilse
Kyunki Ye Zindgi Phir Kaha Milti Hai

kyoki yeh to duniya ka dastur hai
sache aashiq ko bewfai hi milti hai
kyoki yaha sache aashiq ka koi mol nahi

Aakhein Aaj akele mein Rona chahti hai,
yaadon mein aapki khona chahti hai,
aap ne itne haseen pal diye hain Zindagi mein,
ke palkein bhi jhukne se pehle aapki Hona chahti hai…

Hosh Me Aaye Zamana Hua,
Lekin Bahosh Khud Ko Paate Hain,
Arsha Beeta Iss Duniya Mein,
Lekin Khud Ko Tanha Paate Hain,
Itna Duniya Ne Sataya Hai,
Dar Lagta Hai Lambi Umar Se,
Log Mout Se Dara Karte Hain,
Hum Zindagi Se Ghabraatein Hain

Kya kahun tu kya hai mere liye,
Mai jeeraha hoon toh sirf tere liye,,
Tujhe rab ne banaya hai toh sirf mere liye,
Tujhe aasman se zameer per utara gaya hai mere liye…

Zarasi Bat Dertak Rulati Rahi,
Khusi Me Bhi Aankhe Aansu Bahati Rahi,
Koi Mil Ke Kho Gaya To Koi Kho Ke Mil Gaya,
Zindagi Hamko Bas Aazmati Rahi !!

dost ko apni palko pe bitha lo,
dekher khushi dost ke sare gum chura lo,
dosti aise kero ke sab dekhte reh jaye,
khuda bhi aaker khe ki hume bhi apna dost bana lo.

Khushiya Itni Ho K Aankhon Me Ansu Jam Jaye
Lamhe Ho Itne Hasi K Waqt B Tham Jaye
Dosti Nibhayenge Hum Apse Is Tarha
K Saath Guzra Har Pal Zindagi Ban Jaye

Zindagi Se Poocho Ye Kia Chahti Hai
Bus Ek Teri Wafa Chahti Hai
Kitni Masoom Or Nadan Hai Zindagi
Khud Bewafa Hai Or Wafa Chahati Hai

Vishwas Banke Log Zindagi Main Aatey Hai
Khwab Banke Aankhon Main Samaa Jaatey Hai
Pehle Yakeen Dilate Hai Ki Woh Hamare Hai
Phir Na Jaane Kyu Badal Jaatey Hai…

Meri Chahatain Tumse Alag Kab Hain
Dil Ki Batain Tumse Chupi Kab Hain
Tum Sath Raho Dil Main Dharkan Ki Jaga
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zarorat Kab Hai

Zindagi Ka Safar Toh Ek Haseen Safar Hai
Her Kisii Ko Kisii Na Kisii Ki Talash Hai
Kisii Ke Pass Manzil Hai Toh Raah Nahi
Aur Kisii Ke Pass Rah Hai Toh Manzil Nahi…

Dil Chahta Hai Tumse Pyari si Baat Ho,
Khamosh Taraane Hon, Lambi si Raat Ho,
Fir Unse Raat Bhar Yahi Meri Baat Ho,
Tum Meri Jindgi Ho,Tum Hi Meri Kaynaat Ho.

Meri Zindagi Kay Raaz Main Aik Raaz Tum Bhi Ho
Meri Bandagi Ki Pyas Main Aol Pyas Tum Bhi Ho
Tum Kia Ho Kuch To Ho Yaa Kuch Nahi Magar
Meri Zindagi Ki Kash Main Aik Kash Tum Bhi Ho

Zindagi Me Her Dum Hastey Raho
Hasna Zindagi Ki Zarorut Hai
Zindagi Ko Is Andaz Mei Jiyo K
Aap Ko Dekh Ker Log Kahen Wo Dekho
Zindagi Kitni Khubsoorut Hai

Zindagi Ke Mod Par Ek Eysa Waqt Aata Hai,
Jab Insaan Apane Aapko Tanha Pata Hai,
Wahi Tanhai To Batati Hai,
Ki Kon Kiska Kitna Sath Nibhata Hai !!

Muskilon Se Bhari Thi Yeh Zindagi
Bade Pathreele The Iske Raaste
Tumne Dekha Hi Nahin Kabhi Hamari Taraf
Hum Khade The Kab Se Tere Vaaste…

Wo Humse Raah Mein Mil Jayein Zaruri To Nahi
Khud-Bakhud Faasley Mit Jayein Zaruri To Nahi
Zindagi Tune To Wafa Humse Na Ki
Magar Hum Tujhe Thukrayein Zaruri To Nahi…

Zindagi Bahut Kuch Sikhati Hai
Hasaati To Kabhi Rulati Hai
Khud Se Jyada Kisi Pe Bharosa Mat Karna
Andhere Mein Parchai Bhi Sath Chhor Jati Hai

Zara Si Roshni Mujhko Achhi Lagi
Mujhe Aap Ke Ek Lamhe Ki Hansi Achhi Lagi
Aap Se Baat Ki Jo Ek Roz
Us Hi Din Se Mujhe Apni Zindagi Achhi Lagi…

Maut Milti Hai Na Zindagi Milti Hai
Zindagi Ki Raho Mein Bebasi Milti Hai
Rula Dete Hain Kyu Mere Apne
Jab Bhi Mujhe Koi Khushi Milti Hai…

Chhoti Si Hai Zindagi Hans Ke Jeeyo
Bhula Ke Gam Saare, Sar Utha Ke Jeeyo
Udasi Mein Kya Rakha Hai, Muskura Ke Jeeyo
Apne Liye Na Sahi Apno Ke Liye To Jeeyo…

Dard Milta Raha Dard Sehte Rahe
Zindagi Hume Hum Zindagi Ko Azmate Rahe
Pyas Jab Bhi Lagi Ashq Peete Rahe
Bas Zindagi Ke Diye Ghamo Mein Jeete Rahe…

Kaise Kahe Ki Zindagi Kya Deti Hai
Har Kadam Pe Ye Daga Deti Hai
Jinki Jaan Se Bhi Jyada Keemat Ho Dil Mein
Unhi Se Door Rehne Ki Saja Deti Hai

Har Dil Ko Lubhati Ishq Bhi Ek Rubaai Hai
Zindagi Kabhi Kam Par Jaaye
To Kabhi Ek Pal Mei Sanwar Jaaye
Kabhi Na Khatm Hoti Mohabbat Ki Itni Gehraayi Hai

Raat Ke Karwaton Ko Badgumani Hai,
Jo Bhi Chahe Kar Le Manmani Hai,
Sawarata Hai Ishq Raat Ki Julfon Mai,
Pyaar Se Liptne Ki Chahat Hi Jindagani Hai

Aise Apno se too, na ho wo accha hai,
Ye kaisa paise ka,aur len den ka rishta hai,
Aise be-parwahi dil ko cheer ke rakh deti hai,
Koi sune dhyan se,To har sans ke sath ek aah niklti hai 


Zindagi Ko Aik Pal Apna Samjho
Raat Ko Sach Or Din Ko Sapna Samjho
Bhulana Chahte Ho Agar Sabhi Ghamo Ko
To Zindagi Mein Kisi Aik Ko Apna Samjho

Zindagi Mey Her Khushi Mile Aap Ko
Aap Jis Cheez Ko Chahe Wo Mile Aap Ko
Bus Hame Zaroor Yaad Rakh Na
Hum Wo Hai Jo Duva-O-Mey Yaad Rakhe Aap Ko

Sath Chalne Ke Liye Sathi Chahiye
Aansu Rokne Ke Liye Muskan Chahiye
Zinda Rehne Ke Liye Zindagi Chahiye
Aur Zindagi Jine Ke Liye Aap Chahiya

Sapnay Ki Tarha Tujhey Saja K Rakhon
Chandni Raat Ki Nazron Se Chupa K Rakhon
Meri Taqdeer Meray Saath Nahin Hai
Warna Zindagi Bhar Tujhay Apna Bana K Rakhon

Roye Hai Buhat Tab Zara Karaar Mila Hai.
Is Jahan Mein Kise Bhala Sacha Pyaar Mila Hai.
Guzar Rahi Hai Zindagi Imtehan Ke Daur Se.
Ek Khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mita denge yeh duri,ye fasle sabhi
Kaho gi Ik baar kay milo aa kay kabhi
Na hon gay durr phir tum say is zindagi main
Khula rakho tum dar apna, hum atay hain abhi!

Har ek saans pe tera khayal rehta hai,
Meri nazmo me tera sawal rehta hai,
Tu ek baar meri yaadon se guzar kar to dekh,
Tere bina mera kya haal rehta hai..

Guzarish Hai Aap Se, Iss Haseen Chehre Ko,
Chaand Se Na Rubaru Karaeiga,
Warna Kasam Khuda Ki,
Chaand Us Ki Chandni Ko Bhi Bhul Jayega !!

Aik sathi mila do ghari ke liye,
Udaas zindagi haseen ho gaee..!
Kuch istara k jaise jal uthye,
Bujha huwa deyaa..!

Zindgi Me Kuch Lamhe “Khas” Ban Gaye,
Jo Mile Thy Wo “Mulaqat”Ban Gaye,
Jo Bichre Wo “Yad”Ban Gaye,
Or Jo Dil Se Na Gaye
Wo “Aap” Ban Gaye

Ham huwe the ajnabi se aashna zara zara,
Kam huwa tha dil se dil ka fahsala zara zara..!
Ek zara si baat par Woh ruthe kar gaya kuch istara,
Na kah sake yeh ham k thariye zara..!

Rakh housla wo manzar bhi ayega,
Pyase k paas chalke samandar bhi ayega,
Thakkar na baith aye manzil k musafir,
Manzil bhi milegi aur milne ka maza bhi aayega…..

teri yaad dil me naster ki tarah chubhti h,
kabhi kabhi ye sanse bankar nikalti h,
meine tumhe dil se nikal kar bhi dekha
fir yaad aankho se aansoo bankar nikalti h.

Mera sab lut ke Bhi, Mere Apne, apne na hue,
Jinhe dekha tha apni aankho se,
Wo sapne bhi mere apne na hue,
Apne dil ke dard ko kaise kisi ko batao,
Ab batao bhi to kisi ko kya batao,
Dard dene waale, be-dard bhi to apne hue!!

Gam Na Karna Kabhi Zindgi Me
Kyuki Taqdeer Badalti Rehti Hai
Shesha Wahi Rehta Hai
Bas Tasveer Badalti Rehti Hai

Tum milo ya n milo
milne ka ko e gum nhi
tum raste se bhi gujar ja o
ye bhi ko e kam nhi,
mana ki tumhe kdra nhi hai hmari
per unse puchho jinhe hashil hum nhi

Yaad thumari na aye aisa hone nahi denge
Dost thumara jaisa hum khone nahi denge
Sms kerte rahna verna raat ko hum tumhe sone nahi denge.

ager hum ek aasu hote to tumaheri aakho
se nikle ke tumhare hoto pe marna pasand kerte,
aur tum hamari aakho ke aasu hote
to khuda ki kasam hum kabhi na rote.

Zindagi dene vale marta chode gaye
Jab padi jarurat hume apne humsafer ki
Apnapan jatane vale tanha chod gaye
Sath chalne vale apna rasta mode gaye.

Teri Perchaayion Ke Saaye Mein Gujar Jaayegi Zindagi
Ab Tere Bagair Kahan Sukoon Payegi Yeh Zindagi
Tere Alfazon Ko Dil Mein Basakar Kat Jayegi Yeh Zindagi
Teri Har Ek Hansi Ko Mehsoos Karke Door Jayegi Yeh Zindagi


`



11 comments:

  • Unknown says:
    30 November 2015 at 22:39

    sach me zindagi hume kabhi hasati hai to kabhi rulati hai aaj kisi ki yaad ne hume rula diya yakin nahi hota hai aaj wo hamare saath nahi hai jab wo saath the tab unka ehshas nahi hua but aaj hum unhe bahut miss karte hai unke jane ke bad jaise hamari zindagi hi badal gayi hai kash wo wapas aa jate I miss u meri mummy

  • Unknown says:
    20 December 2015 at 09:15

    all masgs related to heart

  • Unknown says:
    1 May 2016 at 09:58

    Lovely

  • Unknown says:
    1 May 2016 at 10:08

    Lovely

  • Unknown says:
    1 August 2016 at 06:20

    LOVELY

  • Unknown says:
    25 October 2016 at 03:13

    👍

  • Unknown says:
    25 October 2016 at 03:14

    👍

  • Unknown says:
    25 October 2016 at 03:14

    👍

  • Unknown says:
    22 April 2017 at 20:27

    In sb lino se mujhe bhot tkleef hoti h....koi kisi se mohabbat ni krta koi kisi k liye ni tdpta ye sb bs kuch Dino mhino ya kuch aisa mano kuch palon ki khusiya hoti h Jo ati to bhot khusiyon k sath h PR jate jate hjaro gmon se hmara rista jod kr chli jati h.....😢😥😰😭😭😭

  • M or meri tanhai says:
    18 November 2017 at 01:32

    Ha ji aap bilkul shi ho bt vo chij jo hme kusi deke chli jati h vo puri zindgi bhar yaad aati h khi na khi aesa lgta h sbkuch hote huye bhi akela pn sa hum .......bhut mjbur h is zindgi se jo hme is god ne di h

Post a Comment